Letter to fictional character: zari from dar e dil
..
.
Pyari Zari, Assalam-o-Alaikum
Kya ap jaanti hain k ap ne mujhy kitna rulaya hai? Dilawar shah se apki muhabbat itni pukhta thi k apka bicharna mera dil cheer gaya tha😭, yakeen krein, ap k jaisi pyari aur pakeeza muhabbat bohat kam logo ne shayad ki hogi k judai main bhi apni muhabbat k liye dua krna. Mazey ki baat bataon? aaj agar main wakaalat parh rhi hun to us k peechey moujood bohat si wajoohat main se aik wajah ap k Barrister Dilawar shah they, meri inspiration baney Wo.
Aap ne wo Jo ghazal kahi thi na jab dilawar shah darwazey main they, ufffff wo to meri diary k pehley page p likhi kuyn k meri pasandeeda hai.
.
.
.
Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo To Inayat Hai.
Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taron Ki Tarah Hum Ne.
Ek Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne.
Ek Shakhs Ko Samjha Tha Phoolon Ki Tarah Hum Ne.
Wo Shakhs Qayamat Tha Kia Uski Krain Batain.
Din Us K Lye Paida Or Uski Hi Thi Raatain.
Kab Milta Kisi Se Tha Hum Se Thi Mulaqatain.
Rang Uska Shahabi Tha Zulfain Thi K Mehkarain.
Ankhain Thi K Jadoo Tha Palkain Thi K Talwarain.
Dushman Bhi Agr Dekhy So Jan Se Dil Haaray.
Kuch Tum Se Wo Milta Tha Baaton Mein Shabahat Mein.
Haan Tum Sa Hi Lgta Tha Shokhi Mein Sharart Mein.
Lagta Bhi Tumhi Sa Tha Dastor-e-Muhabat Mein.
Wo Shakhs Humain Ek Din.
Apno Ki Tarah Bhoola.
Taron Ki Tarah Dooba.
Pholon Ki Tarah Toota.
Phir Hath Na Aya Wo Hum Ne to Bahut Dhonda.
Tum Kis Lye Chonkay Ho Kab Zikar Tumhara Hai.
Kab Tum Se Takaza Hai.
Kab Tum Se Shikayat Hai.
Ek Taza Hikayat Hai.
Sun Lo To Inayat Hai,,,!!
Is duniya main jo bhi ap jaisi muhabbat kreyga, Wo beshak bohat azeem hoga. Ghar p amma abba ko mera salam dijiyega aur dilawar ko hameesha dil main rakhiye ga
Fakat
Ap ki parastaar
.
post by : brown girl reads
Wallah🔥🔥 keep it up
ReplyDelete